Meri aankhon mein mohabbat ki shama aaj bhi hai
Mana ke tujhe mere pyar mein shak aaj bhi hai
Nao mein baith ker dhoye the tune hath kabhi
Sare talaab mein mehak mehandi ki aaj bhi hai
“
Badi koshish ke baad use bhula diya,
Uski yadon ko seene se mita diya,
Ek din fir uska paigam aaya,
Likha tha bhool jao mujhe aur
bhula hua har ek lamha fir se yaad dila diya
“
Khwabon mein jeena jab aadat ban jaati hai,
Haqeekat ki dunia berang nazar aati hai,
Koi intezar karta hai zindagi ke liye,
Aur kisi ki zindagi intezar mein guzar jati hai.